Friday, March 2, 2007

A few lines....feel the touch....

Apne chehre se jo zaahir hai chhupaayen kaise...

Apne chehre se jo zaahir hai chhupaayen kaise,
Terii marzii ke mutaabiq nazar aayen kaise

Ghar sajaane kaa tasavvur to bahot baad ka hai,
Pehle ye tay ho ke, is ghar ko bachaayen kaise

Qahqahaa aankh ka bartaav badal detaa hai
Hansne waale tujhe aansuu nazar aayen kaise

Wasim Barelvi

(Tasavvur-idea, Qahqahaa-laughter)

2 comments:

Anonymous said...

Bahut khoob....

koii apanii hii nazar se to hamein dekhega,
ek qatare ko samandar nazar aaye kaise

.....ghazal muqammal hui.

Purnendu
(philo.sophus@yahoo.com)

Anonymous said...

all posts are wonderful but dont give so much time in between