Saturday, June 30, 2012


Raat.....

Koi raat tumhe yaad karti hai,
Kai khwaab tumhe satate honge;


Wo raat, jiske kisi goshe mein hamare qehqahe(laughter),
Door talak khamoshiyon ke paar jaate honge;


Wo raat jiske daaman mein qurbatein(closeness) theen, nazdeekian bhi theen,
Wo raat jiske aangan mein aahein theen, siskian bhi theen;


Suna hai kaee raaton se wo soya nahin hai,
Raat pighalti hai, roshni ke qadam aate honge….!!


Ye raatein sukoon bhi hain, junoon bhi hain,
Ye raatein intezaar bhi hain, qaraar bhi hain;
Ye raatein jazbaat poshida(concealed) rakhti hain, 
Ye raatein hamein ghamzada(sorrowful) kyun rakhti hain?
Ye raatein tanhaai bhi hain, visaal(union) bhi hain,
Ye raatein bataati hain, kai guzre huay saal bhi hain;


Ye raatein jaagti hueen aankhein bhi hain,
Ye raatein uljhi hui saansein bhi hain;
Ye raatein khwaab bhi hain, aawaaz bhi hain
Ye raatein dost bhi hain, raaz bhi hain;


Raat manoos(familiar) bhi hai, mayoos bhi hai,
Raat agar khanjar-e-zaalim hai, to purkhuloos(generous) bhi hai;   
Raat agar tasveer-e-yaar hai, to dil-pase-zindah(heart-in-chains) bhi hai,
Raat agar mausam-e-bahaar hai, to ehsaas-e-bekaraan(unfathomable feelings) bhi hai;
Raat ke baad agar andhera hai,to azaan-e-bilal-e-habashi bhi hai,
Raat ke baad agar sehra hai, to naseema-e-zindagi(breeze of life) bhi hai;


Khanjar-e-qaatil ki agar daastaan hain raat,
Sukoon ka sabab, ghamkhwaron(wounded) ki zubaan hai raat


Na raat hoti, to umr bhar imtehaan hota,
Na raat hoti, to safar ye veeran hota,
Na raat hoti, to kaun sunta, sunata kaun?
Na raat hoti, to mazdooron ka paseena sukhata kaun???

                                                               Zuhair Bin Saghir